Ye To sab hi janty hain kay facebook hamary bary me sab kuch janta hai.In malomaat me user's ki age,Umer kahan kam karta hai or user ki dilchasbi etc ki information shamil hain.In Informations ki bna par different companies facebook kay zareay different Chezain Bechti hain.
Ab facebook chahta hai kay user kay bary me is waqt me malomat ikhati karey jab wo offline ho.Facebook ny ilan kia hai wo next month se user kay likes, Share Or dunya ki lakhon web sites embeded widgets ka data ikhata kar kay ap ko wo adds dikhay jo ap ko pasand hon.
Facebook ny pechaly month be ilan kia tha kay wo user ko best ad dikhay gi .Us waqt se hi facebook ny ap ka data ikhata karna start kar dia tha .
Facebook ka mazeed kehna hai kay agar user chaheay to facebook settings me tabdeeli kar kay aisay ad disable kar sakta hai.Jo in ko dikhay jaty hain .
Laikn facebook phr be ap ka data ikhata karta rahy ga